Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai
qafas mein ashk-e-hasrat par madar-e-zindagani hai
yahi dane ka dana hai yahi pani ka pani hai
mile the aaj barson mein magar allah ki qudarat
wahi surat wahi rangat wahi josh-e-jawani hai
hamein wo jaan bhi lenge hamein pahchan bhi lenge
utar jaega sab nashsha abhi chaDhti jawani hai
kaleje se laga rakhkhun na kyun dard-e-judai ko
yahi to ek dil-e-marhum ki baqi nishani hai
ye sach hai ya ghalat hum ne suna hai marne walon se
tere KHanjar mein qatil chashma-e-haiwan ka pani hai
batae jate hain ausaf wo apni adaon ke
ye shan-e-dil-raubai hai ye tarz-e-jaan-satani hai
yahan kya jaaniye kis tarah dekha hai tasawwur mein
wahan ab tak wahi parde ke andar lan-tarani hai
karen tasKHir aao mil ke hum tum donon aalam ko
idhar jadu-nigahi hai udhar jadu-bayani hai
'jalil' ek sher bhi KHali na paya dard o hasrat se
ghazal-KHwani nahin ye dar-haqiqat nauha-KHwani hai
(943) Peoples Rate This