Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin
nigah barq nahin chehra aaftab nahin
wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin
gunah gunah na raha itni baada-noshi ki
ab ek shaghl hai kuchh lazzat-e-sharab nahin
hamein to dur se aankhen dikhai jati hain
naqab lipTi hai us par koi itab nahin
piye baghair chaDhi rahti hai hasinon ko
wahan shabab hai kya kam agar sharab nahin
bahaar deta hai chhan chhan ke nur chehre ka
sar-e-naqab hai jo kuchh tah-e-naqab nahin
wo apne aks ko aawaz de ke kahte hain
tera jawab to main hun mera jawab nahin
use bhi aap ke honTon ka paD gaya chaska
hazar chhoDiye chhuTne ki ab sharab nahin
buton se parda uThane ki bahas hai bekar
khuli dalil hai kaba bhi be-naqab nahin
'jalil' KHatm na ho daur-e-jam-e-minai
ki is sharab se baDh kar koi sharab nahin
(722) Peoples Rate This