Naz Karta Hai Jo Tu Husn Mein Yakta Ho Kar
naz karta hai jo tu husn mein yakta ho kar
main bhi nazan hun tera aashiq-e-shaida ho kar
main na samjha tha ki ashkon se uThega tufan
chand qatron ne Duboya mujhe dariya ho kar
chashm-e-bimar jo pahle thi wahi ab bhi hai
kuchh banae na bani tum se masiha ho kar
kis ke ruKHsar dam-e-sair-e-chaman yaad aae
phul aankhon mein khaTakne lage kanTa ho kar
dard tha dil mein to jine ka maza milta tha
ab to bimar se bad-tar hun main achchha ho kar
dam se chhuT ke bhi meri asiri na gai
zulf-e-sayyaad gale paD gai phanda ho kar
chhup ke rahna hai jo sab se to ye mushkil kya hai
tum mere dil mein raho dil ki tamanna ho kar
kya sitam hai shab-e-wada wo hina malte hain
rang lae na kahin KHun-e-tamanna ho kar
dahan-e-yar ki tarif jo ki main ne 'jalil'
uD gaya tair-e-mazmun mera anqa ho kar
(746) Peoples Rate This