Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ea8b4d53a24620052c719c7c8cda95c6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka - Jaleel Manikpuri Poetry In English - Darsaal

Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka

mujh ko to maraz hai be-KHudi ka

zahid ko guman hai mai-kashi ka

har rang hai tere aage phika

mahtab hai phul chandni ka

chal jaega kaam kuchh kisi ka

munh muD na gaya agar chhuri ka

har waqt hain maut ki duaen

allah re lutf zindagi ka

aaina bana rahe ho dil ko

dil TuT na jae aarsi ka

hum kahte the juDe mein nahin phul

aaKHir nikla wo dil kisi ka

kahiye abhi ek ada pe kaT jaen

dam dekhte the faqat chhuri ka

miTti nahin dushmani kisi ki

rang us mein hai meri dosti ka

bose ko jagah mili labon par

ab rang jamega kya misi ka

pyare pyare the phul se honTh

dhabba ye bura laga misi ka

iThla iThla ke un ko chalna

miT jae bala se dil kisi ka

pate hain jo mujh ko ji se bezar

kahte hain maza hai aashiqi ka

hon ek se sab hasin kyunkar

hai rang juda kali kali ka

pahle to the mahw-e-did musa

ab lete maza hain be-KHudi ka

samjhe the na hum ko tum pe marna

ho jaega rog zindagi ka

shoKHi mazmun ki le uDi hai

aalam hai sher mein pari ka

khinchen jo wo tir dil bhi de sath

haq kuchh to ada ho dosti ka

nale bulbul ke the ki chhuriyan

dil TukDe hua kali kali ka

uThne na diya kisi ke dar se

ehsan hai mujh pe laghari ka

phulon se kaho ki roti hai os

ab is se maza nahin hansi ka

kahte the na hum 'jalil' tum se

anjam bura hai dil-lagi ka

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Mujhko To Maraz Hai Be-KHudi Ka in PDF.