Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c7dcb6fab020f3c3a4e86a5bd3f088d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota - Jaleel Manikpuri Poetry In English - Darsaal

Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota

meri wahshat ka jo afsana banaya hota

sunne walon ko bhi diwana banaya hota

un ke lane ki na sujhi tujhe qasid tadbir

jhuT sach koi to afsana banaya hota

dekhte tum ki sanwar jate na gesu kaise

meri palkon ka agar shana banaya hota

mar ke bhi ruh na pine ko tarasti saqi

meri miTTi se jo paimana banaya hota

tum ne zulfon ko bana kar hamein diwana kiya

kya bigaDta tha tumhaara na banaya hota

dil jo waiz ka banaya tha ilahi patthar

kash sang-e-dar-e-mai-KHana banaya hota

dil-e-wahshi jo chhuTa mujh se bahut KHub hua

warna ab tak mujhe diwana banaya hota

wusat-e-dil jo koi pir-e-mughan dikhlaya

ek ek jam ko mai-KHana banaya hota

munh se aanchal jo haTata wo sar-e-bazm 'jalil'

ba-KHuda shama ko parwana banaya hota

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Meri Wahshat Ka Jo Afsana Banaya Hota in PDF.