Marne Wale KHub ChhuTe Gardish-e-ayyam Se
marne wale KHub chhuTe gardish-e-ayyam se
so rahe hain panw phailae hue aaram se
aur to matlab nahin kuchh hum ko daur-e-jam se
han ewaz leta hai saqi gardish-e-ayyam se
garche tark-e-ashnai ko zamana ho gaya
lekin ab tak chaunk uThte hain wo mere nam se
ishtiyaq-e-mai-kashi kuchh mai-kashi se kam nahin
hum to saqi mast ho jate hain KHali jam se
mai-kade ka raaz parde hi mein rahna KHub tha
dekh saqi shisha kuchh kahta hai thak kar jam se
zulf-e-sumbul nikhat-e-gul mauj-e-sabza mauj-e-ab
bagh mein koi jagah KHali na dekhi dam se
hum faqir-e-mai-kada saqi hamein kya chahiye
hai wahi kafi chhalak jati hai jitni jam se
be-nishan tujh ko samajh kar sabr aa jata mujhe
par ye mushkil hai ki main waqif hun tere nam se
kya KHuda ki shan hai jin ka wazifa tha 'jalil'
aaj wo kahte hain main waqif nahin is nam se
(759) Peoples Rate This