Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho
lakh dil-mast ho masti ka ayan raaz na ho
ye wo shisha hai ki TuTe bhi to aawaz na ho
KHauf hai mausam-e-gul mein ki saba ka jhonka
tair-e-hosh ke haq mein par-e-parwaz na ho
dil bahut bulbul-e-shaida ka hai nazuk gulchin
phul gulzar ke yun toD ki aawaz na ho
kya qayamat hai wo dil toD rahe hain mera
is guman par ki chhupa is mein koi raaz na ho
aaina hath mein hai husn ka nazzara hai
un se kah do meri haalat nazar-andaz na ho
ho ke wo mast-e-mai-e-naz gale lipTe hain
hosh kambaKHt kahin tafraqa-pardaz na ho
us giraftar ki puchho na taDap jis ke liye
dar qafas ka ho khula taqat-e-parwaz na ho
ahl-e-dil ko jo luTati hai sada naghme ki
parda-e-saz mein pinhan teri aawaz na ho
tham lene do kaleja mujhe hathon se 'jalil'
qissa-e-dard-e-jigar ka abhi aaghaz na ho
(749) Peoples Rate This