Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad
kya hina KHun-rez nikli hae pis jaane ke baad
ban gai talwar un ke hath mein aane ke baad
jam-e-jam ki dhum hai sare jahan mein saqiya
manta hun main bhi lekin tere paimane ke baad
shukriya waiz jo mujh ko tark-e-mai ki di salah
ghaur main is par karunga hosh mein aane ke baad
shama mashuqon ko sikhlati hai tarz-e-ashiqi
jal ke parwane se pahle bujh ke parwane ke baad
aashna ho kar buton ke ho gae haq-ashna
hum ne kabe ki bina Dali hai but-KHane ke baad
main karun kis ka nazara dekh kar tera jamal
main sunun kis ka fasana tere afsane ke baad
sham-e-mahfil ka hua ye rang un ke samne
phul ki hoti hai surat jaise murjhane ke baad
sach ye kahte hain ki hansne ki jagah duniya nahin
chashm-e-ibrat hain chaman ke phul murjhane ke baad
fikr o kawish ho to niklen mani-e-rangin 'jalil'
lal ugalti hai zaban KHun-e-jigar khane ke baad
(718) Peoples Rate This