Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka
kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka
aag phulon mein lagi ghar jal gaya sayyaad ka
sahl samjha tha satana bulbul-e-nashad ka
chaar nalon mein kaleja hil gaya sayyaad ka
zer-e-KHanjar main taDapta hun faqat is waste
KHun mera uD ke daman-gir ho jallad ka
dar-pae-azar pahle aasman itna na tha
pa gaya hai kuchh ishaara us sitam-ijad ka
ab to wo bhi loT hai bulbul teri aawaz par
barak-allah KHub phansa tu ne dil sayyaad ka
us ke sadqe jaiye jis ne tujhe paida kiya
shakl di hur-o-pari ki dil diya jallad ka
wasl mein kaisa adab ai jaan gustaKHi muaf
aaj lena hai mujhe tum se ewaz bedad ka
aap bhi KHanjar-ba-kaf hain main bhi hun sina-sipar
rah na jae aaj koi hausla bedad ka
mujh ko hai aisa chaman darkar jis mein ai 'jalil'
KHauf gulchin ka na ho khaTka na ho sayyaad ka
(703) Peoples Rate This