Kahan Hum Aur Kahan Ab Sharab-KHana-e-ishq
kahan hum aur kahan ab sharab-KHana-e-ishq
na wo dimagh na wo dil na wo zamana-e-ishq
hua hai shahr-e-KHamoshan mein jab guzar mera
suna kiya hun lab-e-gor se fasana-e-ishq
KHayal-e-ruKH pe hai mauquf dil ki aabaadi
kabhi na gul ho ilahi charagh-e-KHana-e-ishq
bhare hue hain hasinan-e-sim-tan dil mein
KHuda kare kabhi KHali na ho KHazana-e-ishq
gai dimagh mein jis ke kiya asir use
ajab kamand hai bu-e-sharab-KHana-e-ishq
kahin hai dagh ka mazmun kahin hai soz ka zikr
suno na tum ki bahut garm hai fasana-e-ishq
ghalat hai sahab-e-daulat ko gar ghani kahiye
ghani wo hai jise allah de KHazana-e-ishq
jo bahr-e-gham mein gira hath dho ke jine se
usi ke hath bhi aaya dur-e-yagana-e-ishq
tamam umr isi sahra ki KHak chhani hai
jo tum suno to sunaun koi fasana-e-ishq
bane hain jab se wo yusuf har ek gahak hai
khula hua hai yahan bhi dar-e-KHazana-e-ishq
kisi pe dil ka tha aana ki be-KHudi chhai
samand-e-hosh ko aafat hai taziyana-e-ishq
jab un ke dil mein ye aati hai kuchh sunen nale
to mujh se kahte hain chheDo koi tarana-e-ishq
chamak ke dagh ye kahta hai dil ki aahon se
hawa se bujh nahin sakta charagh-e-KHana-e-ishq
ye jaaniye ki lagi hath daulat-e-kaunain
mile jo KHirman-e-hasti se ek dana-e-ishq
yahan 'ayaz' hai aaqa ghulam hai 'mahmud'
'jalil' kya main kahun tum se karKHana-e-ishq
(949) Peoples Rate This