Ismat Ka Hai Lihaz Na Parwa Haya Ki Hai
ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai
ye sin ghazab ka hai ye jawani bala ki hai
sach puchhiye to nala-e-bulbul hai be-KHata
phulon mein sari aag lagai saba ki hai
dil hai ajib gul chaman-e-rozgar mein
rangat to phul ki hai magar bu wafa ki hai
KHalwat mein kyun ye sath hain sab ko alag karo
shoKHi ka hai na kaam na hajat haya ki hai
wo hath un ke chumti hai main hun paemal
ye hain mere nasib wo qismat hina ki hai
anjam kya ho dagh-e-mohabbat ka dekhiye
sine mein ibtida se jalan intiha ki hai
mausam yahi to pine-pilane ka hai jalil
mai-KHwar bagh bagh hain aamad ghaTa ki hai
(797) Peoples Rate This