Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya
ishq ab meri jaan hai goya
jaan ab mehman hai goya
soz-e-dil kah rahi hai mahfil mein
shama meri zaban hai goya
jis ko dekho wahi hai garm-e-talash
kahin us ka nishan hai goya
hai qayamat uThan zalim ki
wo abhi se jawan hai goya
chhine leti hai dil teri taswir
wo ada hai ki jaan hai goya
ek dal us mein lakh zaKHm-e-firaq
TuTa-phuTa makan hai goya
mange jaenge tujh ko hum tujh se
munh mein jab tak zaban hai goya
ji bahalne ko log sunte hain
dard-e-dil dastan hai goya
aadmi waqf-e-kar-e-duniya hai
mehman mezban hai goya
teri kis baat ka bharosa ho
teri har baat jaan hai goya
dil mein kaise wo be-takalluf hain
un ka apna makan hai goya
hae us aalam-ashna ki nazar
har nazar mein jahan hai goya
achchhe-achchhon ko phans rakkha hai
zal-e-duniya jawan hai goya
chup rahun main to sab khaTakte hain
be-zabani zaban hai goya
bewafai pe marte hain mashuq
dilrubai ki shan hai goya
koi us par nigah kya Dale
tamkanat pasban hai goya
teri surat to kahti hai qatil
KHud tera imtihan hai goya
KHub-ruyan-e-mah-paikar se
ye zamin aasman hai goya
aaj hai did ki ijazat-e-am
maut ka imtihan hai goya
war par war karte jate hain
kuchh abhi mujh mein jaan hai goya
is suKHan ka 'jalil' kya kahna
'mushafi' ki zaban hai goya
(960) Peoples Rate This