Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c9affb821cb2a50c8d0428046a6db42, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai - Jaleel Manikpuri Poetry In English - Darsaal

Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai

husn ki lai hui ek bhi aafat na gai

dil ki dhaDkan na gai dard ki shiddat na gai

saya tak bhag gaya dekh ke wahshat ghar ki

kya bala hai ki ilahi shab-e-furqat na gai

husn-e-dilkash ise kahte hain ki hum sari umr

un ko dekha kiye didar ki hasrat na gai

ab bhi is rahguzar mein hai jahan thi pahle

sach to ye hai na kahin aai qayamat na gai

main zamane mein hun aaina-e-taswir 'jalil'

ki tasawwur se kabhi yar ki surat na gai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Husn Ki Lai Hui Ek Bhi Aafat Na Gai in PDF.