Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka
hae dam bhar bhi dil Thahar na saka
hath sine pe koi dhar na saka
aaina kis se dekha jata hai
rashk ke mare wo sanwar na saka
rah gaya aankh mein nazakat se
dil mein naqsha tera utar na saka
wusat-e-zarf se raha mahrum
jam mera kisi se bhar na saka
is jahan se guzar gae lakhon
is gali se koi guzar na saka
mai-kashi se najat mushkil hai
mai ka Duba kabhi ubhar na saka
ashk jari the yaad-e-gesu mein
raat bhar qafila Thahar na saka
mausam-e-gul mein bhi 'jalil' afsos
daman apna gulon se bhar na saka
(695) Peoples Rate This