Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka
hae dam bhar bhi dil Thahar na saka
hath sine pe koi dhar na saka
aaina kis se dekha jata hai
rashk ke mare wo sanwar na saka
rah gaya aankh mein nazakat se
dil mein naqsha tera utar na saka
is jahan se guzar gae lakhon
us gali se koi guzar na saka
mai-kashi se najat mushkil hai
mai ka Duba kabhi ubhar na saka
mera nama KHat-e-muqaddar tha
ki nazar se teri guzar na saka
jo tere ishq mein tabah hua
koi us ko tabah kar na saka
aag aisi lagi thi sine mein
aankh se dil mein wo utar na saka
mausam-e-gul mein bhi 'jalil' afsos
daman apna gulon se bhar na saka
(834) Peoples Rate This