Ek Din Bhi To Na Apni Raat Nurani Hui
ek din bhi to na apni raat nurani hui
hum ko kya ai mah-jabin gar chand-peshani hui
sard-mehri ka teri saqi natija ye hua
aag ke molon jo bikti thi wo mai pani hui
allah allah phuT nikla rang chahat ka meri
zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui
hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein
teri surat hai azal se jaani pahchani hui
le uDi ghungaT ke andar se nigah-e-mast hosh
aaj saqi ne pilai mai hamein chhani hui
jaan kar dushman jo lipTe jaan mein jaan aa gai
barak-allah kis maze ki tum se nadani hui
rafta rafta dida-e-tar ko Duboya ashk ne
pani riste riste kashti meri tufani hui
kar gai diwangi hum ko bari har jurm se
chaak-damani se apni pak-damani hui
KHun ki chadar mubarak ba-haya talwar ko
myan se bahar nikal kar bhi na uryani hui
raat ko chhup kar nikal jati hai aankhon se 'jalil'
sair dekho nind bhi kam-baKHt sailani hui
(775) Peoples Rate This