Dil Par Is Kakul-e-rasa Ki ChoT
dil par is kakul-e-rasa ki choT
qahr ki choT hai bala ki choT
hain wo afsurda meri aahon se
phul ko hai bahut hawa ki choT
nigah-e-naz se KHuda ki panah
kya bachae koi qaza ki choT
aafrin dil ko jo uThata hai
dam-ba-dam KHanjar-e-ada ki choT
gir paDi aasman se bijli
hans ke qatil ne ki bala ki choT
ban gai KHun dast-e-qatil mein
rang lai dil-e-hina ki choT
tir-e-mizhgan chale juda dil par
ghamza-e-yar ne juda ki choT
bagh mein sab bikas gain kaliyan
na uThi daman-e-saba ki choT
dil ye kahta hai kuchh KHata kar ke
khaiye dast-e-dil-ruba ki choT
ho gaya mah-e-charKH do TukDe
thi ye angusht-e-mustafa ki choT
ghair kya samjhe dard-e-dil ko 'jalil'
aashna jaane aashna ki choT
(810) Peoples Rate This