Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f5edb00d27d04c4476bbcfe9bd523cb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar - Jaleel Manikpuri Poetry In English - Darsaal

Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar

chale hae dam bhar ko mehman ho kar

mujhe mar Dala meri jaan ho kar

ye surat hui hai ki aaina pahron

mere munh ko takta hai hairan ho kar

jawan hote hi le uDa husn tum ko

pari ho gae tum to insan ho kar

bigaDne mein zulf-e-rasa ki ban aai

liye ruKH ke bose pareshan ho kar

karam mein maza hai sitam mein ada hai

main raazi hun jo tujh ko aasan ho kar

juda sar hua par hue hum na halke

rahi tegh gardan par ehsan ho kar

na aaKHir bacha parda-e-raaz-e-dushman

hua chaak mera gareban ho kar

hawas aate jate rahe roz-e-wada

teri yaad ho kar meri jaan ho kar

buton ko jagah dil mein dete ho tauba

'jalil' aisi baaten musalman ho kar

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Chale Hae Dam Bhar Ko Mehman Ho Kar in PDF.