Chal Kar Na Zulf-e-yar Ko Tu Ai Saba BigaD
chal kar na zulf-e-yar ko tu ai saba bigaD
andher hoga us se agar ho gaya bigaD
aashiq ko har tarah hai musibat ka samna
achchha tera milap na achchha tera bigaD
main kyun karun kisi ko makin-e-makan-e-dil
main kyun kahun kisi se ki tu ghar mera bigaD
mauquf ek do pe nahin yar ka itab
is se juda bigaD hai us se juda bigaD
hoti thi aashiqon mein baDe lutf se basar
baiThe-biThae aap ne kyun kar liya bigaD
aise mariz-e-ishq ka kis se ilaj ho
paida kare mizaj mein jis ke dawa bigaD
nazuk-mizaj yar ka bartao kya kahun
do din raha milap to barson raha bigaD
achchhon mein aib bhi ho to daKHil hunar mein hai
rakhta hai sau banaw teri zulf ka bigaD
achchha hua 'jalil' se tum saf ho gae
aghyar ne to Dal diya tha bura bigaD
(840) Peoples Rate This