Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri
aks hai aaina-e-dahr mein surat meri
kuchh haqiqat nahin itni hai haqiqat meri
dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi
ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri
roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri
sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri
aaine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai
chahte hain koi dekha kare surat meri
main ye samjhun koi mashuq mere hath aaya
mere qabu mein jo aa jae tabiat meri
bu-e-gesu ne shagufa ye naya chhoDa hai
nikhat-e-gul se ulajhti hai tabiat meri
un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai
dur se us ko dikha dete hain turbat meri
jate jate wo yahi kar gae takid 'jalil'
dil mein rakhiyega hifazat se mohabbat meri
(762) Peoples Rate This