Ada Ada Teri Mauj-e-sharab Ho Ke Rahi
ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi
nigah-e-mast se duniya KHarab ho ke rahi
ghazab tha un ka talawwun ki chaar hi din mein
nigah-e-lutf nigah-e-itab ho ke rahi
teri gali ki hawa dil ko ras kya aati
hua ye haal ki miTTi KHarab ho ke rahi
wo aah-e-dil jise sun sun ke aap hanste the
KHadang-e-naz ka aaKHir jawab ho ke rahi
paDi thi kisht-e-tamanna jo KHushk muddat se
rahin-e-minnat-e-chashm-e-pur-ab ho ke rahi
hamari kashti-e-tauba ka ye hua anjam
bahaar aate hi gharq-e-sharab ho ke rahi
kisi mein tab kahan thi ki dekhta un ko
uThi naqab to hairat naqab ho ke rahi
wo bazm-e-aish jo rahti thi garm raaton ko
fasana ho ke rahi ek KHwab ho ke rahi
'jalil' fasl-e-bahaari ki dekhiye tasir
giri jo bund ghaTa se sharab ho ke rahi
(770) Peoples Rate This