Achchhi Kahi Dil Maine Lagaya Hai Kahin Aur
achchhi kahi dil main ne lagaya hai kahin aur
ye jab ho ki tum sa ho zamane mein kahin aur
gardun pe mah o mehr gul o shama zamin par
ek jalwa-e-jaanan hai kahin aur kahin aur
main aks hun aaina-e-imkan mein tumhaara
tum sa jo nahin aur to mujh sa bhi nahin aur
ahbab jo karte hain karam haal pe mere
kahta hai junun aaiye chal baiThen kahin aur
jate hain miTate hue wo naqsh-e-qadam ko
kah de koi un se ki hai ek KHak-nashin aur
aankh us ne milai taDap uTTha dil-e-muztar
taka tha kahin aur paDa tir kahin aur
hum bhule hue rah hain ai kaba-nashino
jate the kahin aur nikal aae kahin aur
deti hai maza nasiya-sai tere dar par
ek sajda jo karta hun to kahti hai jabin aur
kuchh roz 'jalil' apni rahi gar yahi haalat
DhunDenge falak aur nikalenge zamin aur
(738) Peoples Rate This