Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se
ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se
o shoKH chashm phunk de barq-e-nigah se
kis shan se chala hai mera shahsawar-e-husn
fitne pukarte hain zara haT ke rah se
jhapki palak tu barq falak se zamin pe thi
sambhla na koi gir ke tumhaari nigah se
dilchasp ho gai tere chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-rah lipaTti hai rah se
mizan khaDi hui mere aage na roz-e-hashr
dabna paDa use mere bar-e-gunah se
dekho phir aise dekhne wale na paoge
kyun KHak mein milate ho nichi nigah se
aaine aarsi to faqat dekhne ke hain
dekho tum apne husn ko meri nigah se
kasrat se mai jo pi hai nazar hai maal par
rasha nahin hai kanp raha hun gunah se
paya buland kyun na hamara ho ai 'jalil'
paya hai faiz amir-e-suKHan dastgah se
(796) Peoples Rate This