Zoron Pe Bahut Ab Meri Aashufta-sari Hai
zoron pe bahut ab meri aashufta-sari hai
ye haal hai KHud se bhi mujhe be-KHabari hai
jab se nahin aaghosh mein wo jaan-e-tamanna
ek sil hai ki har waqt kaleje pe dhari hai
un ki jo mayassar nahin shadab-nigahi
phulon mein koi rang na sabze mein tari hai
mana ki mohabbat ke hain dushwar taqaze
be-yar ke jina bhi to ek dard-sari hai
lapka hai ye ek umr ka jaega na hargiz
is gul se tabiat na bharegi na bhari hai
ek un ki haqiqat to mere dil ko hai taslim
baqi hai jo kaunain mein wo sab nazari hai
aankhon mein samata nahin ab aur jo koi
kya jaane basirat hai ki ye be-basari hai
jagoge shab-e-gham mein 'jalil' aur kahan tak
sote nahin kyun? nind to aankhon mein bhari hai
(901) Peoples Rate This