Black-out Ki AaKHiri Raat
ab hum jaan gae hain ki andhere hamara muqaddar nahin the
balki tum ne shahr ki tamam street-lights bujha di thin
hamara frustration tumhaari makkari hai ki hum se mohabbat aur jins ki
sachchi masarraten chhin kar tum ne hamein blue-film ka aadi bana diya
hamare hashish bhare sigreTon ka dhuan tumhaari mashinon ke azab
aur milon ki chimniyon se nikalne wale zahr ka natija hai
lekin ab zahr tumhaara muqaddar hoga ki hum tawanai ke sath zinda rahne ka gur jaan gae hain
ab hum continent ke KHunKHar bheDiyon aur siberia ke
barfani richhon se nahin Darte jinhon ne puri duniya ko nazi camp bana diya tha
ab hamein in masKHare toton ki danishwari nahin chahiye jo hazaron
sal ki raTi-raTai baaten dohra kar hamein ilm ke nam par bewaquf bana rahe the
plato bahut baDa aadmi tha phir bhi apne daur ki republican hum KHud likhenge
hum masum bachche hain magar hamare khilaune toD kar tum ne hamein galiyan dene par majbur kar diya
kal hum picnic manate manate magarmachh ke munh mein chale gae the
lekin aaj paniyon par aag laga kar tairte rahne ka fan sikh chuke hain
kal hum tum se baat karte Darte the lekin aaj
KHuda se hot-line par guftugu kar rahe hain
agar tum rockiton par baiTh kar bhagoDon ki tarah chand aur mirriKH ki taraf
jaana chahte ho to jao hamein hamari zamin aur aane wala zamana chahiye
raat fahisha aurat thi jo tumhaare sath soi rahi
lekin ab din nikal chuka hai aur us ka raushan suraj
andheron black-out aur fahisha auraton ke liye maut ki alamat hai
(684) Peoples Rate This