ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro
shaKHcha KHak-e-gulistan mein paDa hai yaro
us se ehsan-e-bahaaran na uTha hai yaro
tum ne puchha hai na kuchh hum ne kaha hai yaro
hadisa hum pe jo guzra hai to kya hai yaro
kar gaya KHak hamein ruKHsat-e-gul ka manzar
zaKHm-e-nazzara magar ab bhi hara hai yaro
maryam-e-sham khule baal phir aati dekho
phir masiha koi suli pe chaDha hai yaro
raat andheri sahi mayus nahin nur se hum
ashk palkon pe abhi kanp raha hai yaro
ab meri shab mere ashkon se rahegi raushan
sham ke waqt diya mera bujha hai yaro
samne aate ho ab ajnabiyon ki surat
ye bhi shayad koi yari ki ada hai yaro
panw hain KHak pe KHurshid pe saya us ka
'hashami' khoj mein ye kis ki chala hai yaro
(674) Peoples Rate This