Main KHuda Bhi To Nahin Kyun Mujhe Tanha Likh De
main KHuda bhi to nahin kyun mujhe tanha likh de
ab mere nam ki suli pe masiha likh de
aise sannaTe se behtar hai shikaston ki sada
meri miTTi mein ek uDta hua patta likh de
de wo unwan ki zarurat na kahani ki paDe
baghban sabze pe KHakistar-e-ghuncha likh de
raat bhar tere ujalon ki qasam khaun main
tu sar-e-sham mari shama ka bujhna likh de
ho chuke KHushk meri aankh ke chashme kab ke
samne dasht hai ek abr ka TukDa likh de
phul ka zikr bhi karte hue Dar lagta hai
phir na tu meri zaban par kahin kanTa likh de
dagh us ek kali ka na miTega hargiz
meri jholi mein agar bagh bhi sara likh de
sans lete hue rakh uDti hai ab chehre par
na bujha aag magar sath hi chashma likh de
bewafai ki shikayat use kya logon se
jis ki rahon mein tu bachhDa hua pyara likh de
ab to is aas pe jite hain ki shayad 'hashami'
likhne wale ne jo ab tak nahin likkha likh de
(918) Peoples Rate This