KHak Un Galiyon Ki Palkon Se Bahut Chhani Thi
KHak un galiyon ki palkon se bahut chhani thi
phir bhi surat meri is shahar mein an-jaani thi
hum bhi kuchh apni wafaon pe hue the nadim
un ko bhi tark-e-talluq pe pashemani thi
KHud-farebi to alag baat hai warna hum ne
apni surat kahan aaine mein pahchani thi
zindagi sang bani thi tujhe ruKHsat kar ke
dil na dhaDka tha to marne mein bhi aasani thi
hadisa saKHt tha jaankah tha ab ke yaro
warna hum ne to kabhi haar nahin mani thi
rah gai rah mein yun sharm-e-shikasta-pai
kya Thaharte kahin wo be-sar-o-samani thi
na-rasai koi kis aankh se dekhe apni
hum bhi TuTe hue par, raat bhi tufani thi
gul hui shama to daman bhaDak uTTha 'hashami'
jab nazar bujh gai virani hi virani thi
(898) Peoples Rate This