Kahi Na Un Se Jo HonTon Pe Baat Aai Bhi
kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi
ki aashnai bhi thi sharam-e-ashnai bhi
koi talab thi to dast-e-sawal phailate
magar mili thi kahan surat-e-gadai bhi
kaho hawa se chale aaj raat tham tham kar
ki aag hai mere daman mein kuchh parai bhi
tere karam ke fasane to shahar bhar se kahe
tere sitam ki kahan ja ke den dahai bhi
teri sada pe guman dhaDkanon ka hota tha
ajab tha ab ke sukut-e-shab-judai bhi
tumhaari ham-safari ke bhi the bahut ehsan
hui hai wajh-e-nadamat shikasta-pai bhi
nazar bujhi to mile raushni kahan 'hashami'
jala ke shama bahut aankh se lagai bhi
(821) Peoples Rate This