Jo Shikwa Karte Hain Hashami Se Kam-numai Ka
jo shikwa karte hain 'hashami' se kam-numai ka
unhen bhi Dar hai zamane ki kaj-adai ka
phire hain dhup mein sae ko sath sath liye
ki khul na jae bharam apni be-nawai ka
magar kuchh aur hai yari ki baat shauq se tum
lagao chehron pe ilzam aashnai ka
araq araq the nadamat ki aanch se KHud hi
gila karen bhi to kya teri bewafai ka
kuchh is ada se satae gae hain hum ab ke
har ek sans mein andaz hai duhai ka
chala to hun tere hamrah kuchh qadam hi sahi
jo de to kyun mujhe tana shikasta-pai ka
jo apne dar pe sada di to kya mila pyare
yahi ki nam Dubo aae hum gadai ka
nikal paDe ho use DhunDne magar 'hashami'
ye rasta hai meri jaan na-rasai ka
(852) Peoples Rate This