Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_042af7ee7640649b89d531b61d8f9eea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein - Jaleel Hashmi Poetry In English - Darsaal

Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein

itne tanha hain ki ab phirte hain hum dhupon mein

sath saya ho to kuchh baat karen raston mein

ai bahaar is ko na de saya-e-gul mein aawaz

hai hawa-e-chamani uDte hue patton mein

tu dikhani nahin deta to shikayat kaisi

teri aawaz to aati hai meri sanson mein

mera chehra kisi ujDe hue ghar ki surat

aur dhuan bujhte charaghon ka meri aankhon mein

aa dikhaun tujhe main apna gulistan pyare

kis qadar phulon ke chehre hain mere zaKHmon mein

kyun miTa di hai bana kar meri hire ki lakir

sang Dhona hi jo likkha tha mere hathon mein

ai peshawar main musafir to nahin hun lekin

sar jhukae hue phirta hun teri galiyon mein

kab teri aankh mein thi karb ki ye lo 'hashami'

thi kahan choT ki aawaz teri baaton mein

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download Itne Tanha Hain Ki Ab Phirte Hain Hum Dhupon Mein in PDF.