Ghar Se Bahar Kabhi Nikla Kije
ghar se bahar kabhi nikla kije
'hashami' galiyon mein Tahla kije
husn baaton mein bhi paida kije
samne aaina rakkha kije
kyun kisi aur ko ruswa kije
ab ke apna hi tamasha kije
pahle KHud aap ko parkha kije
aur phir shikwa-e-duniya kije
kahin suli na samjhe le koi
apni banhon ko na khola kije
sochiye phul khila hai kya kya
surat-e-sang na dekha kije
itni fursat bhi kise hai lekin
gahe-gahe hamein puchha kije
har koi munh mein zaban rakhta hai
rokta kaun hai bola kije
ye bhi andaz hai ek chhupne ka
is qadar pas na aaya kije
aane lagti hai shikaston ki sada
aise KHamosh na baiTha kije
rabt bhi rakhta hai mani apne
baat be-baat na Toka kije
'hashami' gham ne phir angDai li
'hashami' phir ghazal insha kije
(617) Peoples Rate This