Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai
nahin ho tum to har shai ajnabi malum hoti hai
bahaar-e-zindagi kanTon bhari malum hoti hai
charagh-e-zist ki lau thartharaati hai chale aao
mujhe har sans apni aaKHiri malum hoti hai
bataun kya tumhaari chashm-e-ulfat ki asar-rezi
rag-o-pai mein utarti barq si malum hoti hai
sitam mujh par usi andaz se paiham kiye jao
tumhaari dushmani bhi dosti malum hoti hai
jahan dekha kisi ne bhi hamein chashm-e-mohabbat se
palaT kar zindagi aai hui malum hoti hai
tawaf-e-dair-o-kaba se yahi hasil hua mujh ko
mohabbat hi sarapa bandagi malum hoti hai
'jalil' ek sham-e-hasrat bujh gai to gham nahin is ka
abhi dagh-e-jigar mein raushni malum hoti hai
(723) Peoples Rate This