Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fbc8e26e9a4a219a83de1c6eb4bbdda9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai - Jaleel Allahabadi Poetry In English - Darsaal

Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai

mujhe tum se mohabbat ho gai hai

gham-e-duniya se fursat ho gai hai

hamara kaam hai moti luTana

hamein rone ki aadat ho gai hai

jahan mein qadr-o-qimat mere gham ki

tere gham ki badaulat ho gai hai

dil-e-shair ke naghmat hasin se

tere jalwon ki shohrat ho gai hai

kahan hain misr ke bazar wale

dilon ki nisf qimat ho gai hai

nikalte hain mere ahbab bach kar

mohabbat bhi siyasat ho gai hai

'jalil' ab dil nahin milta kisi se

ajib apni tabiat ho gai hai

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai In English By Famous Poet Jaleel Allahabadi. Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai is written by Jaleel Allahabadi. Read famous Poem Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai for youth and Student by Jaleel Allahabadi. Free Download Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gai Hai in PDF.