Mera Anis Mera Gham Hai Tum Na Sath Chalo
mera anis mera gham hai tum na sath chalo
tumhaara aur hi aalam hai tum na sath chalo
ajab tazad ka mausam hai tum na sath chalo
chhupae shoalon ko shabnam hai tum na sath chalo
KHushi to gharq-e-gham-e-rozgar hai meri
lab-e-hayat pe matam hai tum na sath chalo
har ek moD pe jalte hain ghurbaton ke charagh
qadam qadam pe naya gham hai tum na sath chalo
zamin KHun ugalti hai charKH angare
nizam-e-dahr bhi barham hai tum na sath chalo
abhi jali to hai tahzib-e-nau ki shama magar
abhi ye raushni maddham hai tum na sath chalo
jigar ke KHun se banaya hai main ne surKH jise
wo mere hath mein parcham hai tum na sath chalo
abhi banane hain aain dar-o-zondan ke
ye farz hum pe muqaddam hai tum na sath chalo
har ek tar larazta hai saz-e-hasti ka
ajib waqt ka sargam hai tum na sath chalo
hai chira dast-e-zamana ye un se kah do 'jalil'
tumhaari zulf bhi barham hai tum na sath chalo
(779) Peoples Rate This