Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai
husul-e-gham ba-alfaz-e-digar kuchh aur hota hai
dil-e-barbaad ka azm-e-safar kuchh aur hota hai
tulu-e-subh ki kirnen bahut hi KHub hain lekin
jamal-e-shahr-e-dil waqt-e-sahar kuchh aur hota hai
masaib kis ko kahte hain tumhin jaano tumhin samjho
jahan walo hamara dil jigar kuchh aur hota hai
sharab-e-talKH kya hai zahr-e-qatil tak piya hum ne
magar in mast nazron ka asar kuchh aur hota hai
muqabil aaine ke aaina bhi hum ne dekha hai
ghaTaon mein mera rashk-e-qamar kuchh aur hota hai
jahan pabandiyan lazim na hon sajda-guzaron par
ibaadat ke liye wo sang-e-dar kuchh aur hota hai
'jalil' aksar ye paya imtiyaz-e-ishq mein hum ne
idhar kuchh aur hota hai udhar kuchh aur hota hai
(656) Peoples Rate This