Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6865131de3591a86046e409bd9c00ce2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae - Jaleel Allahabadi Poetry In English - Darsaal

Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae

hathon mein liye dil ke nazrane nazar aae

yun bhi teri rahon mein diwane nazar aae

farzanon ki basti mein diwane nahin dekhe

diwanon ki basti mein farzane nazar aae

ab tak teri duniya ka iqbaal tha rakhwala

aage teri duniya mein kya jaane nazar aae

kaliyon ke chaTakte hi ye kaisi faza badli

daman mein gulistan ke virane nazar aae

mazi ke dhundlakon mein main kho sa gaya aksar

aise bhi risalon mein afsane nazar aae

guzre na 'jalil' aise haalat se dushman bhi

jaane hue sathi bhi anjaane nazar aae

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae In English By Famous Poet Jaleel Allahabadi. Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae is written by Jaleel Allahabadi. Read famous Poem Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae for youth and Student by Jaleel Allahabadi. Free Download Hathon Mein Liye Dil Ke Nazrane Nazar Aae in PDF.