Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein
charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein
chale aao abhi tak raushni hai is bayaban mein
nahin ai dost in ashkon ka koi dekhne wala
daraKHshan hain jo anjum ki tarah chaak-e-gareban mein
kuchh aise gham bhi hote hain jo ashkon mein nahin Dhalte
sharare ban ke lekin raqs karte hain rag-e-jaan mein
banana tha jise mansur use dar-o-rasan baKHsha
use yusuf banate hain jise rakhte hain zindan mein
wo kashti aaj Duba chahti hai pas sahil ke
salamat ek muddat tak rahi jo bahr-e-tufan mein
zamane mein faqat ek bebasi ka sath hota hai
koi apna nahin hota kabhi haal-e-pareshan mein
(822) Peoples Rate This