Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_08b7bf906f7e0f48e87f62759cfbea1d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath - Jaleel 'Aali' Poetry In English - Darsaal

Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath

zindagi zinda hai lekin kisi dam-saz ke sath

warna yun jaise kabutar koi shahbaz ke sath

bijliyan sath liye zahr bhare lamhon ki

waqt chalta hai zamane mein kis andaz ke sath

aasman jaane kahan le ke chala hai mujh ko

upar uThta hai barabar meri parwaz ke sath

aaj tanha hun to kya, dekhta rahna kal tak

aur aawazen bhi hongi meri aawaz ke sath

ek aaghaz ubharta hai har anjam ke baad

ek anjam bhi palta hai har aaghaz ke sath

ek lamha ki garan hai mujhe tanhai mein

ek duniya ki jawan hai mere hamraaz ke sath

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Zindagi Zinda Hai Lekin Kisi Dam-saz Ke Sath in PDF.