Zara Si Baat Par Said-e-ghubar-e-yas Hona
zara si baat par said-e-ghubar-e-yas hona
hamein barbaad kar dega bahut hassas hona
musalsal koi sargoshi humakti hai lahu mein
mayassar hi nahin hota par apne pas hona
sabhi sinon mein teri naubaton ki gunj lekin
teri dhun ka kisi dil ki nawa-e-KHas hona
hamari shauq-rahon par kabhi dekhegi duniya
tumhaare pattharon ka gauhar o almas hona
idhar bhi to use ek din uThani hain nigahen
hamein bhi to kabhi hone ka hai ehsas hona
kisi mausam to apne baadbanon par bhi 'ali'
likhenge aashna jhonke hawa ka ras hona
(756) Peoples Rate This