Ye Shab O Roz Jo Ek Be-kali Rakkhi Hui Hai
ye shab o roz jo ek be-kali rakkhi hui hai
jaane kis husn ki diwangi rakkhi hui hai
wo jo ek mauj-e-mohabbat tere ruKH par jhalki
aankh mein aaj bhi us ki nami rakkhi hui hai
waqt deta hai jo pahchan to ye dekhta hai
kis ne kis dard mein dil ki KHushi rakkhi hui hai
aati rahti hain ajab aks o sada ki lahren
mere hisse ki kahin shairi rakkhi hui hai
dasht ki chup se ubharti hain sadaen kya kya
bahr ke shor mein kya KHamushi rakkhi hui hai
koi dhun hai pas-e-izhaar safar mein jis ne
meri ghazlon ki faza aur si rakkhi hui hai
kam kaha aur sujhaya hai zyaada 'ali'
ek ek satr mein ek an-kahi rakkhi hui hai
(713) Peoples Rate This