Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a4145828ac97c5db611b1de118ad14a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai - Jaleel 'Aali' Poetry In English - Darsaal

Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai

use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai

ye jhagDa hi miTa dena zaruri ho gaya hai

lahu barfab kar degi thakan yaksaniyat ki

so kuchh fitne jaga dena zaruri ho gaya hai

gira de ghar ki diwaren na shorida-sari mein

hawa ko rasta dena zaruri ho gaya hai

bahut shab ke hawa-KHwahon ko ab khulne lage hain

diyon ki lau ghaTa dena zaruri ho gaya hai

bharam jae ki jae rah par aae na aae

use sab kuchh bata dena zaruri ho gaya hai

main kahta hun ki jaan hazir kiye deta hun lekin

wo kahte hain ana dena zaruri ho gaya hai

ye sar shanon pe ab ek bojh ki surat hai 'ali'

sar-e-maqtal sada dena zaruri ho gaya hai

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Use Dil Se Bhala Dena Zaruri Ho Gaya Hai in PDF.