Subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi Lao To Aao
subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao
hisar-e-zat se bahar nikal pao to aao
zamanon se faqat lahren gumanon ki gino ho
kisi din tum ye dariya par kar jao to aao
had-e-KHwahish mein jina hai to jao rah apni
na dasht-e-shauq ki wusat se ghabrao to aao
ajab be-iKHtiyarana thi har aamad tumhaari
isi mauj-e-mohabbat mein kabhi aao to aao
ye durweshon ki duniya hai karishme is ke dekho
jahan se hi nahin KHud se bhi uktao to aao
rifaqat ahl-e-gham ki ek nashat-e-muKHtalif hai
jo rakhte ho jigar mein dard ka ghao to aao
hamein is hikmat-e-dauran ka ek nukta bahut hai
agar dhun hai ulaT den waqt ke dao to aao
(745) Peoples Rate This