Sabil-e-sajda-e-na-muKHtatam Banate Hue
sabil-e-sajda-e-na-muKHtatam banate hue
KHuda tak aae hain kya kya sanam banate hue
ghurur-e-ishq mein ek inkisar-e-faqr bhi hai
KHamida-sar hain wafa ko alam banate hue
tere KHayal ki rau hai ki koi mauj-e-tarab
guzar rahi hai ajab zer-o-bam banate hue
jabin-e-waqt pe sabt apna naqsh us ne kiya
dilon ke dagh charagh-e-haram banate hue
to kya zarur ki tahqir KHalq karte phiro
ek apna aks-e-ana muhtashim banate hue
guzarte hain kahan zindagi guzarti hai
bas ek rah ba-su-e-adam banate hue
(741) Peoples Rate This