Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai
rasta sochte rahne se kidhar banta hai
sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai
aag hi aag ho sine mein to kya phul jhaDen
shola hoti hai zaban lafz sharar banta hai
zindagi soch azabon mein guzari hai miyan
ek din mein kahan andaz-e-nazar banta hai
muddai taKHt ke aate hain chale jate hain
shahr ka taj koi KHak-basar banta hai
ishq ki rah ke meyar alag hote hain
ek juda zaicha-e-nafa-o-zarar banta hai
apna izhaar asir-e-rawish-e-am nahin
jaise kah den wahi meyar-e-hunar banta hai
(930) Peoples Rate This