Raat Jo Mauj-e-hawa Ne Gul Se Dil Ki Baat Kahi
raat jo mauj-e-hawa ne gul se dil ki baat kahi
ek ek barg-e-chaman ne kaisi kaisi baat kahi
aankhen rang ba-rang saje raston sarshaar huin
dil ki KHalish ne manzar manzar ek hi baat kahi
har izhar ki tah mein ek hi maani pinha the
apni taraf se sab ne apni apni baat kahi
aaj bhi harf o bayan ke sab paimane hairan hain
kaise ghazal ne do satron mein puri baat kahi
sidhe-sade se lafzon mein kahna mushkil tha
is liye to aisi aaDi tirchhi baat kahi
tum kyun apni marzi ke mafhum nikalo ho
utna hi matlab hai hamara jitni baat kahi
tum bhi to mazmun-tarashi mein masruf rahe
tum ne bhi to 'ali' kam kam asli baat kahi
(675) Peoples Rate This