Phir Ek Dagh Charagh-e-safar Banate Hue
phir ek dagh charagh-e-safar banate hue
nikal paDe hain nai rah-guzar banate hue
wo jast bhar ke hawa ho gaya magar na khula
main kis nawah mein tha us ke par banate hue
nikal saki na koi aur surat-e-taswir
bahae ashk bahut chashm-e-tar banate hue
wo qahr barhami-e-baKHt hai ki Darte hain
gira na len kahin diwar dar banate hue
qadam qadam pe saza de raha hai waqt hamein
hamare aib udu ke hunar banate hue
to zindagi ko jien kyun na zindagi ki tarah
kahin pe phul kahin par sharar banate hue
(850) Peoples Rate This