Kuchh Aur Mere Dard Ke Shoalon Ko Hawa Do
kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do
be-nur hue dagh andhera hai ziya do
pichhe gham-o-andoh ke firaun ka lashkar
aage alam-o-yas ka dariya hai asa do
main dasht-e-gham-e-ishq mein hansta hua aaun
raste se gham-e-dahr ki diwar haTa do
main aur sulagta hua sahra-e-tajassus
bhaTka hua rahi hun koi rah dikha do
kyun meri shikaston ko sahaara nahin milta
insan hun muhtaj KHuda ka hun KHuda do
is shahar mein jine ki hai ab ek hi surat
ehsas ke mansur ko suli pe chaDha do
is daur ka suqraat hun sach bol raha hun
kya der hai kyun chup ho mujhe zahr pila do
(1155) Peoples Rate This