Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87cd769f127c1508eda6054a1dc8955c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane - Jaleel 'Aali' Poetry In English - Darsaal

Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane

kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane

guman baatil KHayal sab KHam kaun jaane

tamam lafzon ka ek mafhum kaun samjhe

tamam chizon ka ek hi nam kaun jaane

pujariyon ke liye azal se taDap rahe hain

samay ke pahlu mein kitne asnam kaun jaane

nikal ke din ki tamazaton se wafa ka suraj

hua hai KHun kis tarah sar-e-sham kaun jaane

udas jazbon ke daldali raston pe 'aali'

sambhal gaya chal ke gam-do-gam kaun jaane

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Kise KHabar Ibtida Ki Anjam Kaun Jaane in PDF.