Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun
jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun
but ko raste se haTaun to KHuda ko dekhun
aisa kya jurm hua hai ki taDapte marte
apne ehsas ki suli pe ana ko dekhun
bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka rup
baat nazron ki sunun ya ki sada ko dekhun
in ki qismat ki khilen roz tamanna ke gulab
meri taqdir ki zaKHmon ki chita ko dekhun
is tawaqqo pe ki shayad koi darwesh mile
ghaur se shahar ke ek ek gada ko dekhun
mujh ko tahzib ke maktab ne sikhaya hai yahi
taKHti-e-dil na paDhun rang-e-qaba ko dekhun
(812) Peoples Rate This